Saturday, 19 December 2015

Inspired by Bajirao

Uski tez taraar nazroon ka
Ek pal mein kaayar hua
Talwaar uski gardan pe thi
Aur dil mera ghaayal hua

Zindagi bachai jisne
Jaan toh khud hi le gai
Aankho mein aakhein daal
Saansein chura k le gayi

Apna sabkuch luta k aayi
Bekhauf meri mastaani hai
Dunia mazhab sabse pare
Pehchaan iss ishq ki ruhaani hai...

Ishq ka mazhab na koi
Ab tu hi mujhe bata
Ibaadat karu ya pooja teri
Ya chune ki tujhe karu khataa

Dunia samaaj sab jhuta
Khuda bhi ho chahe rutha
Ishq hi humaara mazhab hai ab
Ishq hi humara khuda

Itihaas k panno pe
Humari kahani jab likhi jayegi
Bajirao Mastani ka
Mastaani bajirao ki kehlayegi..

Woh dil jo saath mein dhadakte thae
Thae woh saath hi ruke bhi
Jinke ishq ki dastaan sunke
Do jahaan thae jhuke bhi... 💜 

No comments:

Post a Comment